ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milenjis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen
Dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motiiye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaadonon insaan hain to kyoun itane hijaabon mein milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lonashaa badataa hai sharabein jo sharaabon mein milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton parkyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen
ab na vo main huun, na tu hai, na vo maazii hai `Faraaz’,jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen
No comments:
Post a Comment