Monday, March 9, 2009

jitne hi

intezamaat naye sire se sambhaale jaaye.njitane kam_zarf hai.n mehafil se nikaale jaaye.nmeraa ghar aag kii lapaTo.n me.n chhupaa hia lekinjab mazaa hai tere aa.Ngan me.n ujaale jaaye.nGam salaamat hai to piite hii rahe.nge lekinpehale maiKhaane kii haalat sambhaale jaaye.nKhaalii vaqto.n me.n kahii.n baiTh ke role.n yaarofursate.n hai.n to samandar hii khangaale jaaye.nKhaak me.n yuu.N na milaa zabt kii tauhiin na karye vo aa.Nsuu.N hai.n jo duniyaa ko bahaa le jaaye.nham bhii pyaase hai.n ye ehasaas to ho saaqii koKhaalii shiishe hii havaao.n me.n uchhaale jaaye.naao shahr men naye dost banaaye.n "Rahat"aastiino.n me.n chalo saa.Np hii paale jaaye.nContributed by Faisal Rahat

jakham ko phool

zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale ab vahii log hame.n aabalaapaa kahate hai.n ko_ii batalaao ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub ittefaaqan kahii.n mil jaaye to kyaa kahate hai.n ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hai.n jab talak duur hai tuu terii parastish kar le.n ham jise chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz' vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n

Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aapahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii torasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aakis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakhtuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aaek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan always sings them as part of this Gazal. maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

Tuesday, March 3, 2009

Ab mujhe hai use bhulaa denaa

Ab mujhe hai use bhulaa denaaAe khudaa tu hi hauslaa denaa
Main nahin, zindagi sawaali thiMeri ghairat ko ye bata denaa
Sakht jaani to hijr sah legiTum mujhe dusri sazaa denaa
Aandhiyaan pahle thamna yaarabTab mere haath me diyaa denaa
Jab mujhe tum pukaarna chaahoRoshni, roshni, sadaa denaa.

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa haike ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai
mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.nke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai
vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaalvo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil seis aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai
“Faraz” raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiijevo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai …!!

ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milen

ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milenjis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen
Dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motiiye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaadonon insaan hain to kyoun itane hijaabon mein milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lonashaa badataa hai sharabein jo sharaabon mein milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton parkyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen
ab na vo main huun, na tu hai, na vo maazii hai `Faraaz’,jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen

jo chal sako to koi aise chaal chal jana

jo chal sako to koi aise chaal chal janamujhay goman bhi na hoo aur tum badal jana
yeh shoulagi ho badan ki too kia kiya jayeso lazmee tha tere perhan kaa jhal jana
tumheen karo koi darman yeh waqt aa ponchakay aab to chara garoon ko bhi hath mal jana
abhi abhi to judahi ki cham aaye thihumain ajeeb laga zindagi ka dhall jana
saji sajaye hoi maut zindagi to nahinmoorekhoon nay mokaber ko bhi mahal jana
yeh kiya kay to bhi issi sahat-e-zawal main haikay jiss tara say sabhi soorajon ko dhall jana
har eik ishq kay bad aur uss kay ishq kay badFARAZ itna bhi asan na tha sambhal jana

bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n detebismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete
vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n haimahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N haiai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete
munsif ho agar tum to kab insaaf karogemujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete
rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhiirahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete
kyaa biit ga_ii ab ke ‘Faraz’ ahal-e-chaman paryaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

gazals by ahmad faraz

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
Ahmad Faraz
Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hainSo us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon seSo apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us kiSo hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shagufSo hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hainYeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta haiSitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hainSuna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhainSuna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us kiSuna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat haiSo us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hainSo hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us kiJo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan meinMizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan meinPallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi haiKe phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Bas ek nigaah se lut'ta hai qaafila dil kaSo reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behishtMakeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hainChalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain