ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aapahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii torasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aakis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakhtuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aaek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan always sings them as part of this Gazal. maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
No comments:
Post a Comment