Tuesday, March 3, 2009

gazals by ahmad faraz

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
Ahmad Faraz
Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hainSo us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon seSo apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us kiSo hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shagufSo hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hainYeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta haiSitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hainSuna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhainSuna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us kiSuna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat haiSo us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hainSo hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us kiJo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan meinMizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan meinPallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi haiKe phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Bas ek nigaah se lut'ta hai qaafila dil kaSo reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behishtMakeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hainChalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

1 comment: