Wednesday, May 20, 2009

HUSN E JANA KI TAREEF MUMKIN NAHI

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi March 23, 2009
Filed under: Javed Akhtar — gulfaam @ 4:58 am
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin NahiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay HumnasheenAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aisa Daikha Nahi Khoobsurat KoiJism Jaisay Ajanta Ki Moorat KoiJism Jaisay Nigaahon Pay Jaado KoiJism Naghma Koi, Jism Khushboo KoiJism Jaisay Machalti Hoi RaagniJism Jaisay Mehekti Hoi ChandniJism Jaisay Ke Khilta Hoi Aik ChamanJism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli KiranJism Tarsha Hoa Dil-kash O Dil-nasheenSandali Sandali, Marmari MarmariAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin NahiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab HaiChehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab HaiChehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E GhazalChehra Jaise Kali, Chehra Jaise KanwalChehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer BhiChehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer BhiChehra Koi Alif Lail Ki DastaanChehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal GumaanChehra Jaisa Ki Chehra Kaheen Bhi NaheenMaahroo Maahroo, Mehjabeen MehjabeenAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin NahiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aankhein Daikhe To Mein Daikhta Reh Gaya(Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha)Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab HeinAankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab HeinAankhein Neechi Huwi To Haya Bun GayiAankhein Unchi Howi To Dua Bun GayiAankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun GayiAankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun GayiAankhein Jin Mein Qaid Aasman O ZameenNargisi Nargisi, Surmayi SurmayiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin NahiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Zulf E Janaan Ki Bhi Lambi Hai DaastanZulf Ki Mere Dil Per Hein ParchiyaanZulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho GhataZulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali BalaZulf Uljhay To Dunya Pareshaan HoZulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan HoZulf Bikhray Siyah Raat Chaanay LagayZulf Lehraye To Raat Janay LagayZulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni HaseenReshmi Reshmi, Amberi AmberiAafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi

No comments:

Post a Comment